Tuesday, September 29, 2009

Shayari.co.in - Dil ki baat Shayari ke saath!

Shayari.co.in - Dil ki baat Shayari ke saath!

Link to Hindi Shayari - Dil Ki Baat, Shayari Ke Saath!

Saari Raat..

Posted: 28 Sep 2009 08:17 PM PDT


sad girl shayari

Deewar Wo Dar Se
Sar Takrayi Saari Raat
Unse Shikwa Kaise Jinki
Yaad Ne Bitha Ke Pehlo Me
Saari Raat Aankhoun Me Kaati
Dard Naa Bataya Saari Raat
Unse Shikwa Kis Munh Se
Ho Jinke Hai Ehsaan Bohut
Jinki Narm Yaad Ne Dukhta
Dil Sehlaya Saari Raat
Roote Roote Seene Par Sar

Rakh Kar Sogaye Unki Yaad
Koun Piya Tha, Koun Jeeya?
Bhed Naa Paya Saari Raat
Woh Yaad Aaye Jinke Aansoo
The Gham Ki Kahani
Mere Saamne Baith Ke Roye
Dukh Naa Bataya Saari Raat

With Best Regards
RUBINA YASMEEN

Mohabbat naam ho jaye…

Posted: 28 Sep 2009 08:13 PM PDT


Mohabbat

Abhi to dil main halki si
Khalish mahsos hoti hay
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye

Khayalon main yeh koun aya
Sitaroon ki chamak le kar
Mere shanoon pe bikhere hain
Yeh kis ki zulf k saye
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye

Yeh kasi beykhudi hay
Dil main kaisa kaif chaya hay
Yeh meri jaagti aankhon main
Kaise khuwaab lahraye
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye

Ruki hay zindagi ek
Muskarate moor pe a kar
Kaheen yeh muskarahat
Zindagi ka gham na ban jaye
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye…

Saba Sagar

No comments:

Post a Comment