| Hindi Shayari Posted: 15 Oct 2009 07:05 AM PDT  
Yeh duniya hai bahut badi.. tum kaha me kaha pata nahi Ek talash me nikli hoon miloge tum ya nahi.. Yahan ho tum wahan ho tum kidhar ho tum pata nahi Dur se dekha to pass the tum Pass aayi toh Dur huye tum  |
| Shayari Posted: 15 Oct 2009 07:04 AM PDT  
Snan Panise Hota Hai Doodh Se Nahi. Muhabbat Dil Se Hoti Hai Roop se Nahi…  |
| Ke har insaan… Posted: 15 Oct 2009 07:04 AM PDT  
Ke har insaan ishq mein presaan mila hai, aaj ishq mein hume asq inaaam mila hai, dar hai ki mohabbat na ho ab kisi ko, kyonki iski saza hume sre aam mila hai… ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Dil hi hansata hai,dil hi rulata hai, ishq ki duniya mein har dil ruth jaata hai, puchta hoga dil bhi ishq se tootkar, har baar kya dil hi dard dene ke kaam aaata hai,,, ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Teri surat dil mein basaye bathe hai, tu aaye ye aaaaaas lagaye bathe hai, yun to mar hum bhi jaate magar, tere hone ka ehsaas banaye bathe hai,,,, ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Usne apne dil mein basaya hume, usne apne saanso mein samaya hume, ab rone se bhi kya fayada yaaaaaaaro us hi ke gam ne rulaya hume………. ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Doori sahi nahi jaati ab mujhse, is kadar pyar kar bathe hai tujse, dua mangu bhi to kaise milne ki, mera to rab hi khafa hai mujse….  |
| Hindi Shayari Posted: 15 Oct 2009 07:03 AM PDT  
Hoti nahi mohabbat nazre milane se kayamat aati nahi shamma ko bhujane se ye to dil ka dil se male hota hae ye hoti nahi aise he kise par hakk jatane se…  |
| Happy Diwali Posted: 15 Oct 2009 07:02 AM PDT  
Deepawali ka ye paawan tyohar, Aap k Jivan me aaye khushiya aapar, Tan,Maan,Dhan ka sukh laye aprampar, Ye Subhkamnaye hamari kare sweekar!! Wish you & your family “HAPPY DIWALI”. Aman  |
| Hindi Shayari Posted: 15 Oct 2009 07:01 AM PDT  
Ke har insaan ishq mein presaan mila hai, aaj ishq mein hume asq inaaam mila hai, dar hai ki mohabbat na ho ab kisi ko, kyonki iski saza hume sre aam mila hai…  |
| Happy Diwali Posted: 15 Oct 2009 07:01 AM PDT  
Kumkum bhare kadmon se, Aaye Laxmiji apke dwaar, Sukh sampati mile aapko aprampar, Khushi yo se bhara rahe sara saal, Aap ka har sapna ho sakar Happy Diwali amanlove77@hotmail.com  |
| Wo pagali ladki… Posted: 15 Oct 2009 07:00 AM PDT  
Amawas ki kaali raaton mein dil ka darwaja khulta hai, Jab dard ki pyaali raaton mein gum ansoon ke sang hote hain, Jab pichwade ke kamre mein hum nipat akele hote hain, Jab ghadiyan tik-tik chalti hain, sab sote hain, hum rote hain, Jab baar baar dohrane se saari yaadein chuk jaati hain, Jab unch-neech samjhane mein mathe ki nas dukh jaati hain, Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai, Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai. Jab pothe khali hote hain, jab har sawali hote hain, Jab gazlen raas nahin aatin, afsane gaali hote hain. Jab baasi feeki dhoop sametein din jaldi dhal jaata hai, Jab suraj ka laskhar chhat se galiyon mein der se jaata hai, Jab jaldi ghar jaane ki ichha mann hi mann ghut jaati hai, Jab college se ghar laane waali pahli bus chhut jaati hai, Jab beman se khaana khaane par maa gussa ho jaati hai, Jab laakh mana karne par bhi paaro padhne aa jaati hai, Jab apna manchaha har kaam koi lachari lagta hai, Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai, Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai. Jab kamre mein sannate ki awaj sunai deti hai, Jab darpan mein aankhon ke neeche jhai dikhai deti hai, Jab badki bhabhi kahti hain, kuchh sehat ka bhi dhyan karo, Kya likhte ho lalla dinbhar, kuchh sapnon ka sammaan karo, Jab baba waali baithak mein kuchh rishte waale aate hain, Jab baba humein bulate hain, hum jaate hain, ghabrate hain, Jab saari pahne ladki ka ek photo laya jaata hai, Jab bhabhi humein manati hain, photo dikhlaya jaata hai, Jab saare ghar ka samjhana humko fankari lagta hai, Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai, Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai. Didi kahti hain us pagli ladki ki kuchh aukat nahin, Uske dil mein bhaiya tere jaise pyare jasbat nahin, Wo pagli ladki mere liye nau din bhooki rahti hai, Chup-chup saare vrat karti hai, par mujhse kabhi na kahti hai, Jo pagli ladki kahti hai, main pyar tumhi se karti hoon, Lekin mein hoon majboor bahut, amma-baba se darti hoon, Us pagli ladki par apna kuchh adhikar nahin baba, Yeh katha-kahani kisse hain, kuchh bhi to saar nahin baba, Bas us pagli ladki ke sang jeena fulwari lagta hai, Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai… Originally written by manjeet singh dhondy…friends…mere mitr manjeet ji ki bahut saari rachnaaye aise hi chhdm(nakli)naamo se kai kai sites par padi hain…aur kuchh log use apne naam se chhaap r rahe hain…main un saari kavitaaon ko ek jagah laane ka prayaas kar rahaa hun…i hope..aapko ye poetry bhi pasand aayegi…  |
| Tere Kya Bana Posted: 15 Oct 2009 06:52 AM PDT  
Tujhe zindgi ka shaor tha tera kya bana, tu khamosh kyu hai mujhe bata tera kya bana vo jo nasib se teri jang thi meri bhi thi main toh kamyab na ho saka tera kya bana nayi manzilon ki talash thi so bichad gye main bichad k tjhse bhtak gya tera kya bana main muqable mein sharik tha faqt iss liye koi mjhse aake puchta tera kya bana mjhe ilm tha k shikast mera nasib hai tu umidvar tha je… Roshan Sharma & Rose Lotus  |
| Diwali Shayari Posted: 15 Oct 2009 06:51 AM PDT  
Deep Jalte jagmagate rahe, Hum aapko Aap hame yaad aate rahe, Jab tak zindagi hai, dua hai hamari 'Aap Chand ki tarah Zagmagate rahe… RAVI DEV MISHRA  |
No comments:
Post a Comment